॥ Khatu Shyam Ji Ki Aarti ॥
Om Jai Shrishyam Hare, Prabhu Jai Shrishyam Hare।
Nij Bhaktan Ke Tumne Pooran Kaam Kare॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Gal Pushpon Ki Mala, Sir Par Mukut Dhare।
Peet Basan Peetambar, Kundal Karn Pade॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Ratna-Sinhasan Rajat, Sevak Bhakt Khade।
Khevat Dhoop Agni Par, Deepak Jyoti Jare॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Modak Kheer Churma, Suvarn Thal Bhare।
Sevak Bhog Lagavat, Sir Par Chanvar Dure॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Jhanjh, Nagara Aur Ghadiyaval, Shankh Mridang Ghure।
Bhakt Aarti Gaven, Jai Jaikar Kare॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Jo Dhyave Phal Pave, Sab Dukh Se Ubre।
Sevak Jab Nij Mukh Se, Shrishyam Shyam Uchare॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...
✦ ✦ ✦Shrishyam Bihariji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gave।
Gavat Dasmanohar, Man Vanchhit Phal Pave॥
Hari Om Jai Shrishyam Hare...