Om Jai Shree Shyam Hare, Prabhu Jai Shree Shyam Hare,
Nij Bhaktan Ke Tumne Pooran Kaam Kare,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Gal Pushpon Ki Mala, Sir Par Mukut Dhare,
Peet Basan Peetambar, Kundal Karn Pade,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Ratna-Sinhasan Rajat, Sevak Bhakt Khade,
Khevat Dhoop Agni Par, Deepak Jyoti Jare,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Modak Kheer Churama, Suvarn Thal Bhare,
Sevak Bhog Lagavat, Sir Par Chanvar Dure,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Jhanjh, Naagara Aur Ghadiyaval, Shankh Mridang Ghure,
Bhakt Aarti Gaven, Jai Jai Kaar Kare,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Jo Dhyave Phal Pave, Sab Dukh Se Ubare,
Sevak Jab Nij Mukh Se, Shree Shyam Shyam Uchare,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...
Shree Shyam Bihariji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gave,
Gavat Das Manohar, Man Vanchhit Phal Pave,
Hari Om Jai Shree Shyam Hare...